Wednesday, October 27, 2010

Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khwaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Kuch khawab hain jin ko likhna hai

Kuch khawab hain jin ko likhna hai..
Taabeer ki sorat daini hai..
Kuch loug hain ujray dil walay..
Jinhain apni mohabbat daini hai..
Kuch phool hain jin ko chunna hai..
Aur haar ki sorat daini hai..
Kuch apni neend baki hai..
Jisay bantna hai kuch lougon mein..
Un ko bhi rahat daini hai..
Aye umer-e-rawaan ahista chal..
Abhi khasa karz chukaana hai..!

Monday, October 18, 2010

Mila Woh bhi nahi karte, Mila Hum bhi nahi karte

Mila Woh bhi nahi karte, Mila Hum bhi nahi karte
Wafa Woh bhi nahi karte, Wafa Hum bhi nahi karte

Unhein Ruswayi ka Dukh, Hamein Tanhayi ka Darr
Gila Woh bhi nahi karte, Shikwa Hum bhi nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Woh bhi nahi karte, Thera Hum bhi nahi karte

Jab bhi dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Woh bhi nahi karte, Kaha Hum bhi nahi karte

Lekin! yeh bhi Sach hai ke Mohabbat Unhain bhi hai
Izhaar Woh bhi nahi karte, Kaha Hum bhi nahi karte..

Mile Pyaar aur Dosti Ek Raah Par

Mile Pyaar aur Dosti Ek Raah Par
Baatein Karte hue ja Rahe the.

Kya Hota hai unke naam ka Matlab
Ek Dusre ko Samjha Rahe The

Pyaar ne Kaha hum do dilo ko Milate Hai
Unke Dilo ke Armano ko Jagate Hai
Jab aa Jati hai Unke Rishto mein Gehraia
Hum Unke Gharo ko Basate Hai

Shayad Dunia me Isilie Pyar hi Pyar hai
Aur Logo ko bus Pyar Par hi Aitbar hai

Dosti ne Kaha Tumhari in Baaton se Mujhe Inkaar hai
Duniya me Pyar ka Matlab hi Bekar hai
Agar Pyaar hi Sab Kuch hai to tum kyo Tanha ho
Gire na kisi ke pyar me Aansu Aisa koi Lamha ho
Pyaar me Tum Itna Dard de Jaate ho
Logo ki Zindagi Bekaar Kar Jaate ho

Pyaar ne Kaha ye Sab Bakwas hai
Itna Mujhko Kos Rahe ho Aakhir Tumme Kya Khaas hai

Dosti ne Kaha hum un Dilon par Muskan Laate Hai
Jinki Aankhon me Aap Aansu de Jaate Hai
Badal Sakte Dosti se Saari Dunia hum
Udda Sakte Hai Logo ke Chehro se Gham
Pyar bhi Dosti ka hi ek Naam hai
Lekin Dosti me Pyar Nibhana Dosto ka Kaam hai...!!!