Jab yaadon ka qissa kholoun to, kuch dost bahaut yaad aate hain
Main guzre pal jo sauchoun to, kuch dost bahaut yaad aate hain.
Ab jaane kaunsi nagri mein, base hain jaakar muddat se
Main raat me jab bhi jaagoun to, kuch dost bahaut yaad aate hain.
Kuch baatein thein phoolon jaisi, kuch lamhe the khushboo jaise
Main akela jab bhi tehloun to, kuch dost bahaut yaad aate hain.
Woh pal bhar ki naaraazgiyan,aur maan bhi jaana pal bhar mein
Ab khud se jab bhi roothoun to, kuch dost bahaut yaad aate hai…
Hello there, Thanks for visiting my Blog. Here u all can read the Blogs written by me... I have written Some blogs & Poems of some famous Authors as well as some stupid Poems written by me tried to express my thinking.... So, i request u all my Blog Visitors... Please give Some Comments on my Blogs.
Wednesday, December 29, 2010
Kuch Dost Bahut Yaad Aate Hain.
Wednesday, October 27, 2010
Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khwaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Kuch khawab hain jin ko likhna hai..
Taabeer ki sorat daini hai..
Kuch loug hain ujray dil walay..
Jinhain apni mohabbat daini hai..
Kuch phool hain jin ko chunna hai..
Aur haar ki sorat daini hai..
Kuch apni neend baki hai..
Jisay bantna hai kuch lougon mein..
Un ko bhi rahat daini hai..
Aye umer-e-rawaan ahista chal..
Abhi khasa karz chukaana hai..!
Taabeer ki sorat daini hai..
Kuch loug hain ujray dil walay..
Jinhain apni mohabbat daini hai..
Kuch phool hain jin ko chunna hai..
Aur haar ki sorat daini hai..
Kuch apni neend baki hai..
Jisay bantna hai kuch lougon mein..
Un ko bhi rahat daini hai..
Aye umer-e-rawaan ahista chal..
Abhi khasa karz chukaana hai..!
Monday, October 18, 2010
Mila Woh bhi nahi karte, Mila Hum bhi nahi karte
Mila Woh bhi nahi karte, Mila Hum bhi nahi karte
Wafa Woh bhi nahi karte, Wafa Hum bhi nahi karte
Unhein Ruswayi ka Dukh, Hamein Tanhayi ka Darr
Gila Woh bhi nahi karte, Shikwa Hum bhi nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Woh bhi nahi karte, Thera Hum bhi nahi karte
Jab bhi dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Woh bhi nahi karte, Kaha Hum bhi nahi karte
Lekin! yeh bhi Sach hai ke Mohabbat Unhain bhi hai
Izhaar Woh bhi nahi karte, Kaha Hum bhi nahi karte..

Mile Pyaar aur Dosti Ek Raah Par
Mile Pyaar aur Dosti Ek Raah Par
Baatein Karte hue ja Rahe the.
Kya Hota hai unke naam ka Matlab
Ek Dusre ko Samjha Rahe The
Pyaar ne Kaha hum do dilo ko Milate Hai
Unke Dilo ke Armano ko Jagate Hai
Jab aa Jati hai Unke Rishto mein Gehraia
Hum Unke Gharo ko Basate Hai
Shayad Dunia me Isilie Pyar hi Pyar hai
Aur Logo ko bus Pyar Par hi Aitbar hai
Dosti ne Kaha Tumhari in Baaton se Mujhe Inkaar hai
Duniya me Pyar ka Matlab hi Bekar hai
Agar Pyaar hi Sab Kuch hai to tum kyo Tanha ho
Gire na kisi ke pyar me Aansu Aisa koi Lamha ho
Pyaar me Tum Itna Dard de Jaate ho
Logo ki Zindagi Bekaar Kar Jaate ho
Pyaar ne Kaha ye Sab Bakwas hai
Itna Mujhko Kos Rahe ho Aakhir Tumme Kya Khaas hai
Dosti ne Kaha hum un Dilon par Muskan Laate Hai
Jinki Aankhon me Aap Aansu de Jaate Hai
Badal Sakte Dosti se Saari Dunia hum
Udda Sakte Hai Logo ke Chehro se Gham
Pyar bhi Dosti ka hi ek Naam hai
Lekin Dosti me Pyar Nibhana Dosto ka Kaam hai...!!!

Subscribe to:
Posts (Atom)